phul patto me tu in bahaaro me tu
jarre jarre me tu chand taaro me tu
meri aankho ne dekha tujhe har jagah
meri aankho ne dekha tujhe har jagah
thahre sagar me tu bahte dhaaro me tu
khushi ki khushi hai na gam ka hi gam hai
khushi ki khushi hai na gam ka hi gam hai
jo tune diya hai vo tera karam hai
jo tune diya hai vo tera karam hai
khushi ki khushi hai
teri marji ke siwa kabhi koi patta bhi nahi hile
teri marji ke siwa kabhi koi patta bhi nahi hile
use milta hai sabka pyar ke jisko tera pyar mile
tu sabki aankho se hai dur magar sab main hai tera nur
ye kisne kaha tu vaham hai bharm hai
ye kisne kaha tu vaham hai bharm hai
jo tune diya hai vo tera karam hai
khushi ki khushi hai
dil bhi ek patthar ka tukda hai
mohabbat ke siwa
main hun diwana mohabbat ka
mujhe duniya se kya
mohabbat hai teri aawaj, mohabbat hai tera paigaam
mohabbat hai teri aawaj, mohabbat hai tera paigaam
mohabbat ko kya samjhe log, mohabbat ka hai juda makaam
mohabbat ishwar ki pahchan, mohabbat allah ka farmaan
magar is jaha me mohabbat hai gam hai
magar is jaha me mohabbat hai gam hai
jo tune diya hai vo tera karam hai
khushi ki khushi hai
fakiro ko tu kar de shah, shahanshaho ko kare fakir
fakiro ko tu kar de shah, shahanshaho ko kare fakir
tere hatho me sabki dor, tu likhta hai sabki takdir
haan maati ka putla bejaan, banaya tune kya insaan
ho tujhe bhul baitha ye kaisa sitam hai
tujhe bhul baitha ye kaisa sitam hai
khushi ki khushi hai na gam ka hi gam hai
jo tune diya hai vo tera karam hai
khushi ki khushi hai