mohe bulaaye na aapi aaye
jitna manaau main ruthe jaye
samjhe na hay more ji ki lagi
piya aise to na the, piya aise to na the

mithi najar se man bharmaay ke
pahle jagaai pyaas
badle fir aise palke pal me
tod gaye sab aas
kaahen ko badle hay
kaahen ko badle wo aise jaanu na
piya aise to na the, piya aise to na the
piya aise to na the, piya aise to na the
deep jale hain aangan aangan
sabke baalam hain saath
dwaar pe more aa baithi
kaali birah ki raat
pyaare sajnwaa ha
pyaare sajnwaa kyun ruthe jaanu na
piya aise to na the, piya aise to na the
piya aise to na the, piya aise to na the
dukh me biraha ke tan man sulge
aaye na ek pal chain
soyi sejariya jab mohe dekhe
bhar bhar aaye nain
kaahen sataaye hay
kaahen sataaye wo aise jaanu na
piya aise to na the, piya aise to na the
piya aise to na the, piya aise to na the
piya aise piya aise