Lyrics of Pooja Ke Do Phul Chadhakar Kehta Hai Insan - पूजा के दो फूल चढ़ाकर कहता है इन्सान
puja ke do phul chadhakar kahta hai insan
ke mujhko mil jaye bhagwan
o murkh o nadan itna asan
ke kisi ko mil jaye bhagwan
puja ke do phul chadhakar kahta hai insan
ke mujhko mil jaye bhagwan
ke mujhko mil jaye bhagwan
bhagwan base bhaiya kheto me
bhagwan base bhaiya kheto me
bhagwan base khaliyano me
bhaiya vo majduro me
bhaiya vo to base khadano me
ganga ji me mar ke dubki khata hai insan
ke mujhko mil jaye bhagwan
puja ke do phul chadhakar kahta hai insan
ke mujhko mil jaye bhagwan
ke mujhko mil jaye bhagwan
bhagwan base bhaiya bando me
bhagwan base bhaiya bando me
bhagwan base bhaiya khano me
bhaiya vo to base udhyogo me
bhaiya vo to base karkhano me
mathe chhod a tilak laga kar
kahta hai insan ke mujhko mil jaye bhagwan
puja ke do phul chadhakar kahta hai insan
ke mujhko mil jaye bhagwan
ke mujhko mil jaye bhagwan
jo tu chahe are bawale mil jaye bhagwan
bawle mil jaye bhagwan
jo tu chahe are bawale mil jaye bhagwan
tu dhar le man me itna dhyan
jaga le man me itna gyan
jaga le man me itna gyan
kya garib kya dhanwan
sabhi hai jag me ek saman
sabhi ka sukh apna dukh jaan
jise kahte hai jag kalyan
jise kahte hai jag kalyan
usi me prabhu ko tu pehchan
usi me rehte hai bhagwan
usi me baste hai bhgwan
yahi hamari tirth mandir yahi hai charo dham
yahi hamare krishan kaniya yahi hamre ram