puchhta jahan hai, kaha tera bhagwaan hai
meri ye pariksha nahi, teri imtihaan hai
teri imtihaan hai
puchhta jahan hai, kaha tera bhagwaan hai
jhut aur kapat ka ye bazaar aaj garm hai
paakhand me chhupa hua paakhandiyo ka dharm hai
aaj ka sansaar apna bhul raha karam hai
aankh me insaan ki zara na rahi sharam hai
dharti iske ? ki gawaah hai aasmaan hai
meri ye pariksha nahi, tera imtihaan hai
tera imtihaan hai
puchhta jahan hai, kaha tera bhagwaan hai
vishkalank par kabhi kalank jo lag jayega
julm ki ghataao me insaaf dub jaayega
stay haar jaayega aur jhuth jeet jaayega
fir jahan me na koi geet tere gaayega
kaanpta imaan hai, insaan pareshaan hai
meri ye pariksha nahi, teri imtihaan hai
teri imtihaan hai
puchhta jahan hai, kaha tera bhagwaan hai
shakti ab dikha teri, nahi to bhakti haarti
hai kaha daya teri jo bhakt ko ubharti
meera ke nayan me aansuo ki aarti
aaj laakh laakh draupdi tujhe pukaarti
tujhko nahi dhyaan hai, khamosh tu jawan hai
meri ye pariksha nahi, teri imtihaan hai
teri imtihaan hai
puchhta jahan hai, kaha tera bhagwaan hai