Video of this song from youtube
Lyrics of Chahato Ki Duniya Me - चाहतों की दुनिया में
pyar wafa hai, pyar sada hai
pyar wafa hai, pyar sada hai, pyar duwa hai, pyar khuda hai
pyar yahi hai dekh deewane pyar yaha kise aisa mila hai
chahato ki duniya me dekh aisa hota hai
chahato ki duniya me dekh aisa hota hai
chahato ki duniya me dekh aisa hota hai
ek pal jo hasata hai baar baar rota hai
ek pal jo hasata hai baar baar rota hai

kaate bichhe hai raaho me aur majil nahi koi
tanhaiyo me pyar ki shaamil nahi koi
juganu ki roshani bhi kahi aati najar nahi
tufan hi tufan hai saahil nahi koi
kitna andhera raaho me yaara, kiska bane ab kaun sahara
kitna andhera raaho me yaara kiska bane ab kaun sahara
ab naa koi suraj hai naa koi savera hai
ab naa koi suraj hai naa koi savera hai
ab naa koi suraj hai naa koi savera hai
chaandani bhi ruthi hai dur tak andhera hai
chaandani bhi ruthi hai dur tak andhera hai

gam ke siva jaha me bata insaa ko kya mila
tune banaai kyon yaha chaahat mere khuda
paani ke bulabulo ki tarah tuti hai hasrate
aati nahi kahi se bhi usaki koi sada
kaisi hai chahat, kaisi mohabbat
kaisi hai uljhan, kaisi hai hasrat
kaisi hai chahat, kaisi mohabbat
kaisi hai uljhan, kaisi hai hasrat
hasarato ki palko pe chahato ka mela hai
hasarato ki palko pe chahato ka mela hai
hasarato ki palko pe chahato ka mela hai
dard to hajaaro hai aadami akela hai
dard to hajaaro hai aadami akela hai
pyar wafa hai, pyar sada hai, pyar duwa hai, pyar khuda hai
pyar yahi hai dekh deewane pyar yaha kise aisa mila hai
chahato ki duniya me dekh aisa hota hai
chahato ki duniya me dekh aisa hota hai
ek pal jo hasata hai baar baar rota hai
ek pal jo hasata hai baar baar rota hai

ye deewaana deewaana, ye deewaana deewaana
ye deewaana deewaana, ye deewaana deewaana
suli pe bhi chadhana padta hai, sar ko bhi katana padata hai
sar ko bhi katana padata hai
kuchh bhi ho mohabbat me lekin ye karj chukaana padata hai
ye karj chukaana padata hai
is raaz-e-mohabbat ko lekin koi bhi nahi samajha ab tak
khud apne hi haatho se apni hasti ko mitaana padata hai
ye deewaana deewaana, ye deewaana deewaana
ye deewaana deewaana, ye deewaana deewaana
ye deewaana deewaana, ye deewaana deewaana
ye deewaana deewaana, ye deewaana deewaana


lyrics typed by : ruchita parab
lyrics of song Chahato Ki Duniya Me
Comments on song "Chahato Ki Duniya Me"
Haider Khan on Wednesday, May 15, 2013
This movie very close to my heart i urge youngsters to fisrst go for career
and then find ur true love
Rahul pandey on Thursday, April 15, 2010
a very beautiful song performed by IQBAL-AFZAL, The SABRI BROTHERS
aftab6883 on Tuesday, January 04, 2011
buht achi hai laken mukamal upload karo plz hd mein thanx
Hunz Ullah on Wednesday, March 17, 2010
Very nice songs.. yaar heart touching song
Raushan Kumar on Tuesday, May 05, 2015
heart touching song Aman singh
Movie Film Cast Singer Lyricist Composer Director Producer External Links
Kya Yehi Pyaar Hai (2002)
Jackie Shroff, Aftab Shivdasani, Amisha Patel, Aashish Vidyarthi, Anupama Varma, Neena Kulkarni, Snehal Dhabi, Vrajesh Hirjee, Sarfaraz Khan, Atul MathurAlka Yagnik, Babul Supriyo, Iqbal Afzaal Subri, K K, Kumar Sanu, Sonu Nigam, Sunidhi ChauhanAjay Jhingran, Jalees SherwaniSajid, WajidK Murali Mohan RaoAllu Arvind, Kumar S Taurani, Mukesh Udeshi, Ramesh S TauraniKya Yehi Pyaar Hai at IMDB      Kya Yehi Pyaar Hai at Wikipedia
Popular Links on HindiGeetMala
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films
  • Search Songs
    Type
  • Search Films
    Type