Thumb Song Heading Singer Composer Lyricist Actor Film (Year) Category
thumb coming soon
4.63 - 27 votes
Shyama, Talat Mahmood
Video of this song from youtube
Lyrics of Pyaas Kuchh Aur Bhi Bhadka Di Jhalak Dikhla Ke - प्यास कुछ और भी भड़का दी झलक दिखला के
pyaas kuchh aur bhi bhadka di jhalak dikhlake
tujhko parda rukh-e-roshan se hatana hoga
itni gustakh na ho ishq ki aavara nazar
husn ka pas nigaho ko sikhana hoga
tujhko parda rukh-e-roshan se hatana hoga
husn ka pas nigaho ko sikhana hoga

chand taro ko mayassar hai nazara tera
meri betab nigaho se ye parda kyo hai
chand aayina mera tare mere naqsh-e-kadam
gair ko ankh milane ki tamanna kyo hai
tujhko parda rukh-e-roshan se hatana hoga
husn ka pas nigaho ko sikhana hoga

tujhko dekha tujhe chaha tujhe puja maine
bas yahi isake siva meri khata kya hogi
hamne achaa kiya ghabra ke jo munh pher liya
isse kam dil ki tadapne ki saza kya hogi
tujhko parda rukh-e-roshan se hatana hoga
husn ka pas nigaho ko sikhana hoga

pyas kuchh aur bhi bhadka di jhalak dikhlake
tujhko parda rukh-e-roshan se hatana hoga
itni gustakh na ho ishq ka avara nazar
husn ka pas nigaho ko sikhana hoga

pyas kuchh aur bhi bhadka di jhalak dikhala ke
tujhko parda rukh-e-roshan se hatana hoga
chand me nur na taro me chamak baqi hai
ye andhera meri duniya ka mitana hoga

ai mujhe hijr ki rato me jaganevale
ja kabhi nind judai me na ayegi tujhe
subah tapakegi teri ankh se ansu banake
rat sine ki kasak ban ke jagayegi tujhe
tujhko parda rukh-e-roshan se hatana hoga
ye andhera meri duniya ka mitana hoga

koi araman hain na hasarat hai na ummide hai
ab mere dil me muhabbat ke siva kuchh bhi nahi
ye muqaddar ki kharabi ye zamane ka sitam
bevafa teri inayat ke siva kuchh bhi nahi
tujhko parda rukh-e-roshan se hatana hoga
ye andhera meri duniya ka mitana hoga
pyas kuchh aur bhi bhadka di jhalak dikhala ke
tujhko parda rukh-e-roshan se hatana hoga
lyrics of song Pyaas Kuchh Aur Bhi Bhadka Di Jhalak Dikhla Ke
Comments on song "Pyaas Kuchh Aur Bhi Bhadka Di Jhalak Dikhla Ke"
Bharat Gul on Thursday, March 06, 2014
The musician plucking the instrumental strings beautifully starts off the
way Asha Bhonsle's voice plucks Shyama's heartstrings-- and ours, to boot.
And I love how AB says "baaqui" in the manner of a chaste Urdu speaker.
Another jewel sculpted by Khayyam, AB, and Talat Mehmood-- the last in one
of his rare screen roles. Thanks, Suhanee.
kchopra4080able on Thursday, August 11, 2011
Those must have been the days when eyes were not befooled by dime-a-dozen, botox filled beauties! And there were some who could write, admire and croon, and enjoy, what nature has to offer first-up!
Nice video. Thanks for sharing.
VK malik on Sunday, October 05, 2014
moment ASHA ,S VOICE STARTS U KNOW U GOT SOMETHING WORTH WILE IS GOING TO
HAPPEN. GREAT SINGER !!! 
Rose Shah on Thursday, March 06, 2014
tujhko dekha tujhe chaaha tujhe pooja maine
bas yehi is ke siwaa meri khataa kyaa hogi
main ne achha kiya ghabra ke jo munh pher liyaa
is se kam dil ke tadapne ki sazaa kyaa hogi
Chaand Aainaa mera taarey mera naaqsh e
qaadam . Laajwaab !!!! so beautiful, sweet , romantic
soul touching lyrics..Beautifully rendered by Talat Saab & Asha jee
.. long forgotten masterpiece. thanks for its revival Jaanu. Good Day with
lots of love..
Rose Shah on Thursday, March 06, 2014
Why Lala Rukh ? meaning ? please reply I am just curious regarding Title.
never seen this movie but really rare & beautiful duet. will try to
search for movie later and watch. sheer pleasure to have this delight
early morning. Dil khush ho gayaa, lots of Love jaanu.
Movie Film Cast Singer Lyricist Composer Director Producer External LinksVideo Links
Lala Rukh (1958)
Talat Mahmood, Shyama, Vikram Kapoor, RadhikaAsha Bhosle, Mohammed Rafi, Talat MahmoodKaifi AzmiKhayyamAkhtar SirajFilm India CorporationLala Rukh at IMDB      Lala Rukh at WikipediaLala Rukh at YouTube     |    Lala Rukh at YouTube - 2    
Popular Links on HindiGeetMala
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films
  • Search Songs
    Type
  • Search Films
    Type