Thumb Song Heading Singer Composer Lyricist Actor Film (Year) Category
thumb coming soon
4.45 - 11 votes
Tareef Songs
Video of this song from youtube
Lyrics of Raj Kapoor Si Neli Ankhein Dev Anand Ki Chal - राज कपूर सी नीली आँखे देवानंद की चाल
raj kapoor si nili aankhe devanand ki chal
dharmendar ka mardanapan or dilip ke bal
sanjay sa chail chabila shashi sa sharmila
or manoj sa bhola bhala shammi sa rangila
shokh ho wo rajindar jaisa or sunil sa baka
jisme itne gun ho sakhi ri jod usi se taka
na bangla na motar mangu na kapda na gahna
aisa shohar mil jaye to kismat ka kya kahna

kamar helan ki aanhke padmini ki gal vimi ke
ada asha ki shokhi sadhna ki bal simi ke
nutan ka kad sharmila ki angdai
babita ki jawani or nanda ki si rahnai
vahida ki tabasum or lina ki si masti
ada me naaz me nahkre me hema malini jaisi
najar jise dekhke sharmsaar ho jaye
agar biwi mile aisi to beda par ho jaye

na wo bangle ka malik ho na motar car rakhta ho
na chokidar rakhta ho na khidmat gar rakhta ho
magar rahkta ho wo johar jo rahkta ho na har koi
watan ka dard or insaniyat se pyar rakhta ho
na wo bangle ka malik ho subhash jaisa bahadur or
bagat singh sa dilawar ho watan ki aan par sar
jo haskar nichawar ho usi ko mai banaungi
rakh ke jindagi apni dua mangu ke pura ho
sakhi mera hasi sapna na wo banle ka malik ho

pujari husn ka hu mai na diwana jawani ka
ke ye chize hai aisi bulbula ho jaise pani ka
na bangla chahiye mujhko na motar chahiye mujhko
samjhta hu na mai daulat ko maksad jindgani ka
daya ki murti ho dharm ki taswir ho
aise ke jiske aage sar jhuk jaye har hindustani ka
mujhe patni mile aise jo ye asaf rakhti ho
mujhe patni mile aise jo ye asaf rakhti ho
kaleja chand biwi ka kaleja chand biwi ka
jigar jhansi ki rani ka pujari husn ka hu mai
na diwana jawani ka
lyrics of song Raj Kapoor Si Neli Ankhein Dev Anand Ki Chal
Movie Film Cast Singer Lyricist Composer Director Producer External LinksVideo Links
Maa Aur Mamta (1970)
Jeetendra, Mumtaz, Rehman, Jayant, Keshto Mukherjee, Ashok Kumar, Nutan, Nirupa Roy, Sujit Kumar, Roopesh Kumar, Leela Mishra, Indu Shivraj, Birbal, Shabnam, Karan Dewan, Paro, Dilip Dutt, Madhu ApteAsha Bhosle, Birbal, Hemlata, Lata Mangeshkar, Manna Dey, Mohammed RafiAnand BakshiLaxmikant Kudalkar, PyarelalAsit SenBaldev Pushkarna, M M MalhotraMaa Aur Mamta at IMDB      Maa Aur Mamta at WikipediaMaa Aur Mamta at YouTube     |    Maa Aur Mamta at YouTube - 2    
Popular Links on HindiGeetMala
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films
  • Search Songs
    Type
  • Search Films
    Type