ram krishan ki dharti par papi ne pav pasara hai
papi ne pav pasara hai tut pado jawano aaj videshi ne
humko lalkara hai humko lalkara hai
is dharti ko hathiyane ka usne aaj vicahr kiya
is bharat ko dhamkane ka usne bada parchar kiya hai
usne bada parchar kiya uttar me wo khada himayal
takkar lene wala hai yaha hajaro vir ladenge
usne hume na jana hai usne hume na jana hai
ram krishan ki dharti par papi ne pav pasara hai,
papi ne pav pasara hai tut pado jawano aaj videshi ne
humko lalkara hai humko lalkara hai
vir shivaji ke pauvade humne ghar ghar gaye hai
maharana partap ke maru baze khub bazaye hai
baze khub bazaye hai ranbairi baz uthi
kat baman ne hume pukara hai humlavar gaddaro ka
ab kam na banne wala hai kam na banne wala hai
tut pado jawano aaj videshi ne
humko lalkara hai humko lalkara hai
hum na kisi ka mulk chahte hume kisi se bair nahi
hum par jo chadkar aayega us dushman ki khair nahi
us dushman ki khair nahi kashmir se antrib tak
yahi hamara nara hai hind mahasagar ki lehro ne
sun lo yahi pukara hai sun lo yahi pukara hai
ram krishan ki dharti par papi ne pav pasara hai
papi ne pav pasara hai tut pado jawano aaj videshi ne
humko lalkara hai humko lalkara hai
All songs of this film Amar Shaheed (1960) penned by my father late Shri
Arjun Joshi (ARJUN ) and music by Jamal Sen.