toh bholo siya pati ramchandra maharaj ki jai
pavan sut hanuman ki jai jai ho
suno suno ram katha yeh har legi sakal vyatha yeh
dashrath ke sukh ki gaatha purshon mein jo uttam tha
suno suno suno woh adhyaye
jab purshottam shri ram ne lanka pe kar ke chadayi
raavan ko dhool chatayi aur sita bhi wapas aayi
suno suno suno sunaun kalyug mein satyug darshaun
subh subh subh sandesh sunaun
ram siya ke gun main gaaun
suno suno ram katha yeh har legi sakal vyatha yeh
dashrath ke sukh ki gaatha purshon mein jo uttam tha
purshottam ram jagat ke pavan putra ram bhakat the
lacchman the dhaal se bhaari lanka pe hui chadayi
phir ram ji ne apni ardhangani mata sita ko paaya
purshottam ram jagat ke pavan putra ram bhakat the
lacchman the dhaal se bhaari lanka pe hui chadayi
toh bolo siya pati ram chandra maharaj ki jai
lanka pe lankesh hara ke dekh teer shamseeron se
chale ayodhya ram palat ke veeron se randheeron se
adhron pe muskaan dhari bhuja mein apni maan bhara
jai jai jai ram hui aur lanka mein lankesh mara
ram chale toh sevak bratha saath chale
gaaon gaaon mein ram siya ki baat chale
jahan jahan se raam ki sena guzar rahi
umad gumad ke jungle aaye aaj wahin
shor machaye jashn manaye ram siya ke darshan paaye
jai jai jai jaikal bulaayein pag pag pe deep jalayein
arrey suno suno ram katha yeh har legi sakal vyatha yeh
dashrath ke sukh ki gaatha purshon mein jo uttam tha
aur us ke baad sab mil kar ayodhya laut aaye
khushi ke palchin uss pal beetay ek murkh jab bola aise
ram hain keval lanka jeetay, lanka jeetay
kya paaya hai sita ko ram ne paawan
kya pawanta ko bhang kar gaya paapi raavan
ram yeh sun ke reh gaye mann se reetay reetay
agni pariksha de do bole paawan sitey
agni pariksha asur dhara ne manwa seencha
sita ne di agan pariksha
achhayi ki jeet sunischit hoti hai
sachaayi hi sabse menhga moti hai
hua daam ko tha sir neecha safal ho gayi agan pariksha
arrey safal ho gayi agan pariksha
gad gad ho ram yun bole, paawan se bhed yun khole
satya aur prem kabhi na mrityu ke aagey dole
suno suno ram katha yeh har legi sakal vyatha yeh
dashrath ke sukh ki gaatha purshon mein jo uttam tha
toh bolo siya pati ramchandra maharaj ki jai
pawan sut hanuman ki jai, jai ho