rang rangila mausam aaya khushiyo ke phul bichhao re
holi diwali aaj mana lo jhum jhum ke gaao re
nachenge aaj aise mor jangal me jaise
dhum machao sathiyo
rang rangila mausam aaya khushiyo ke phul bichhao re
holi diwali aaj mana lo jhum jhum ke gaao re
sabke dil me ek nya josh hai
manva sabaka aaj madhosh hai
cham cham baaje meri payal
sabke dil ko kar degi ghayal
ho teri payal jab jab bole dharti ka dil dole
aao sab mil ke gaye khushi ke dip jalaye
aaj karenge hangama
rang rangila mausam aaya khushiyo ke phul bichhao re
holi diwali aaj mana lo jhum jhum ke gaao re
kale pathhar se hai nikli murti bhagvan ki
puri hogi aashaye ab har ek insan ki
chamtkar ho gya aaj mere hath se
khul gya nasiba mera aaj sabke bhag se
ho sona uglengi ye khadane sara khalihan ye jane
sabka vo rakhwala nili chatari wala koi ghate na ghatna
rang rangila mausam aaya khushiyo ke phul bichhao re
holi diwali aaj mana lo jhum jhum ke gaao re
nachenge aaj aise mor jangal me jaise
dhum machao sathiyo