rangeela re tere rang mein
yun ranga hai mera man
chhaliya re na bujhe hai
kisi jal se ye jalan
ho rangeela re tere rang mein
yun ranga hai mera man
chhaliya re na bujhe hai
kisi jal se ye jalan
ho, rangeela re
palkon ke jhule se sapno ki dori
pyar ne bandhi jo tune vo todi
palkon ke jhule se sapno ki dori
pyar ne bandhi jo tune vo todi
khel ye kaisa re, kaisa re sathi
diya to jhume hain, roye hain bati
kahin bhi jaye re, roye ya gaaye re
chain na paye re hiyaa
waah re pyar, waah re waah
rangeela re tere rang mein
yun ranga hai mera man
chhaliya re na bujhe hai
kisi jal se ye jalan
ho, rangeela re
dukh mera dulha hai, birha hai doli
aanso ki saadi hai aaho ki choli
dukh mera dulha hai, birha hai doli
aanso ki sadi hai aaho ki choli
aag main piyun re jaise ho pani
naari diwani hun pida ki rani
manva ye jale hai, jag sara chhale hai
saans kyu chale hai piya
waah re pyar, waah re waah
rangeela re tere rang mein
yun ranga hai mera man
chhaliya re na bujhe hai
kisi jal se ye jalan
ho, rangeela re
gaane ka satyanash kar diya hai.. mehak ko na expression aata hai, na hi
dono ki koi chemistry hai