Lyrics of Rat Aayi Hai Naya Rang Jamane Ke Liye - रात आई हैं, नया रंग जमानें के लिए
raat aayi hai, naya rang jamane ke liye
raat aayi hai, naya rang jamane ke liye
leke aaram ka paigam, zamane ke liye
leke aaram ka paigam, zamane ke liye
gungunati huyi, dhire se ye aati hai saba
gungunati huyi, dhire se ye aati hai saba
thapakiya maa ki tarah, deke sulane ke liye
thapakiya maa ki tarah, deke sulane ke
raat aayi hai, naya rang jamane ke liye
kaisi benazmi se bikhre hain, ye laalo gauhar
kaisi benazmi se bikhre hain, ye laalo gauhar
aasma kya teri daulat hai, lutane ke liye
aasma kya teri daulat hai, lutane ke liye
raat aayi hai, naya, raat
raat aayi hai, naya rang jamane ke liye
kya hi achha hai ye, bachpan ka zamana bhi yaha
kya hi achha hai ye, bachpan ka zamana bhi yaha
kya hi achha hai ye, bachpan ka zamana bhi yaha
kya hi achha hai ye, bachpan ka zamana bhi yaha
mauj karne ke liye, khelne khane ke liye
mauj karne ke liye, khelne khane ke liye
raat aayi hai, naya rang jamane ke liye
leke aaram ka paigam, zamane ke liye
raat aayi hai, naya rang jamane ke liye
Film cast: Chandramohan, Suresh Nanu, Nalini, Trakhund, Shanta Apte, Buja
Saheb
Singer: Shanta Apte
Film Director: V Shantaram