ek jaisi dhadkano ki, ek jaisi thaap hai
ek jaisi do aankho ke, ek jaise khaab hai
kyu bhala, soch to ye waasta
ek jaisi duriya hai
ek jaisi duriya hai, ek jaisi ruh me
ek jaise ghaav baithe, dil-e-majruh me
koi to muskuraye, koi aawaz de
chuppi ke ghaav bhar ke, marham sa raag de
kabje se dil ke ghere, tere mere
kabje se dil ke ghere, kab tak jhele andhere
tute se chand ko ye lekar dhundhe akele
rishto ka raasta
kyu bhala, soch to ye waasta
ek hi jo dard hai agar
ek hi jo dard hai agar
ek hi hogi dawa
ek jaise hi kadmo se, kam hoga faasla
koi to baah taule, baaho me bhinch le
dil me baithe kaanto ko
hontho se khinch le
birha ke taar leke, pisa malhar dede
ghaavo se peer leke, man ka singaar dede
aise jaise, pani me rang ghule ho
pi me ye ang ghule ho
main rah jaye na man me
dono yu sang ghule ho
ban jaye daasta
kyu bhala, soch to ye waasta
ek jaisi dhadkano ki, ek jaisi thaap hai
ek jaisi do aankho ke, ek jaise khaab hai
kyu bhala, soch to ye waasta
kyu bhala, soch to ye waasta