(ruthaa hai to manaa lenge - 2
bigadaa hai to banaa lenge rotaa hai to hasaa lenge
phir bhi naa manaa to - 2 naa manaa to deke khilon behlaa lenge
ruthaa hai to manaa lenge) - 2
pyar mein gussaa hai gusse mein pyaar hai - 2
jhoote inkaar mein sachchaa ikraar hai
nadan ko samja lenge hum jaal mein phasalenge
beiman ko phuslaa lenge - 2
phir bhi naa manaa to - 2 naa manaa to deke khilon behlaa lenge
dil kaa mithaa hai kadwaa zubaan kaa - 2
bantaa hai sayana woh to jahaan kaa
hum dhokese behkaa lenge takraar se manaavaa lenge
ek pyaar se chata malenge - 2
phir bhi naa manaa to - 2 naa manaa to deke khilon behlaa lenge
ruthaa hai to manaa lenge