raat ko jab bhi meri aankh khule
kuch jara dur tahalane
nange paanv hi nikal jaata hu aakash utar ke
kahkasha chhu ke nikalti hai jo ek pagdandi
apne pichhawaade ke santuri sitaare ki taraf
dudhiya taaro par paanv rakhata
chalta rahata hu yahi soch ke main
koi sayyiyaara agar jaagata mil jaaye kahi
ek padosi ki tarah paas bulaale shaaayad
aur kahe aaj ki raat yahi ruk jaao
tum jamin par ho akele mai yaha tanha hu
roz-e-avval hi se avara hu
avara rahunga
chand taro se gujarta huaa
banzara rahunaga
roz-e-avval hi se avara hu
avara rahunga
chand taro se gujarta huaa
banzara rahunaga
chand pe rukna aage khala hain
march se pahle thandi fiza hain
chand pe rukna aage khala hain
march se pahle thandi fiza hain
ek jalta huaa, chlata huaa
sayyiyaar rahunga
chand taro se gujarta huaa
banzara rahunaga
roz-e-avval hi se avara hu
avara rahunga
ulkaao gaaon se bach ke nikalna
komet ho to pankh pakadna
ulkaao gaaon se bach ke nikalna
komet ho to pankh pakadna
nuri raftaar se, kayanaat se main
gujra karunga
chand taro se gujarta huaa
banzara rahunaga
roz-e-avval hi se avara hu
avara rahunga, avara rahunga
avara rahunga
i luv this album Vaada..:)