o ruk ja dilbar ruk ja rani
ruk ja dilbar ruk ja rani
aashiq ki sun prem kahani
aa gale se lag ja apne yaar ke
gila jata rahega, gila jata rahega
gila jata rahega
are ja main na rukungi main na jhukungi
main na tumhe pahchanungi
lakh pado tum mere paiya
main hargij na manungi
main na rukungi main na jhukungi
main na tumhe pahchanungi
oye ruk ja ruk ja ruk ja
are diwani tune iski kadar na jani
mastani iski baat na mani
teere najar ka ye hai ghayal
isko bana le aankh ka kajal
ishq me tere ho gaya pagal
ho gaya pagal
kahani sun le tu iski kahani
diwani iski kadar na jani
main hu ek hawa ka jhonka
ruk ja ruk ja ruk ja
ha ha re ha
apne aashiq se sanam ruth ke jaya na karo
ishq ki aag me aashiq ko jalaya na karo
chahne wala badi mushkil se milta hai
jo mohabbat me mita usko mitaya na karo
ye hai majnu tumhara ha
ye hai ranjha bechara ha
yahi farihad bhi hai yahi mahiwal bhi hai
kasam laila ki tumko kasam hai heer ki tumko
kasam sohni ki tumko kasam shiri ki tumko
kasam ganga ki tumko kasam jamuna ki tumko
kasam radha ki tumko kasam meera ki tumko
kasam meera ki tumko kasam meera ki tumko
ari ab maan bhi jaao
kasam meera ki tumko
are ruk gayi dilbar ruk gayi rani
ae ruk gayi dilbar ruk gayi rani
bol de apni prem kahani
ja gale se lag ja apne yaar ke
gila jata raha
ye dil gata raha
gila jata raha