saawra khatu wala
shyam salona, sabse nirala
main diwani hu diwani apne shyam ki
main diwani hu diwani apne shyam ki
mere man me shyam nainan me shyam
hohto pe shyam pranan me shyam
meri sanse, meri sanse mala hain us naam ki
main diwani hu, main diwani hu diwani baba naam ki
main diwani hu diwani apne shyam ki
man thal hai pooja ka aur pushp hain bhawo ke
har dhadkan aarti bandhan hai aur ardh prano ke
har dhadkan aarti bandhan hai aur ardh prano ke
poojan me shyam bandhan me shyam
chintan me shyam sumran me shyam
bin baba, bin baba umar kis kaam ki
main diwani hu, main diwani hu diwani baba naam ki
main diwani hu diwani apne shyam ki
saawra khatu wala
us khatu wake se nata bada gahra hai
uski hi kripa se aaj mera sansar sunehra hai
uski hi kripa se aaj mera sansar sunehra hai
pag pag pe shyam kan kan me shyam
meri aatma ke darpan me shyam
uske hatho, uske hatho biki me bin daam ki
main diwani hu, main diwani hu diwani baba naam ki
khatu wale shyam hare, khatu wale shyam hare
dev nirale shyam hare, dev nirale shyam hare
neele wale shyam hare, bano wale shyam hare
parche wale shyam hare, bhakto wale shyam hare
shyam dhani, shyam dhani khansu mhari preet ghani
khatu wale shyam dhani, dev nirale shyam dhani
neele wale shyam dhani, bano wale shyam dhani
parche wale shyam dhani, bhakto wale shyam dhani
dev niraale shyam dhani, neele waale shyam dhani