baadab bamulahiza hoshiyaar
khabardar aashiqo ke sardar
husn ke kharidar aa gaye hain
ye diljale ye manchale
ye diljale ye manchale
kya lene aaye hain, kya lene aaye hain
ek dil hi apne paas hain, wo dene aaye hain
ha ha dene aaye hain, ye tumko dene aaye hain
monday se to saturday tak
monday se to saturday tak, inka har din sunday
sabak padhe na koi shcool ka aaj ke ye mustande
aaj ke ye mustande
are sabak padha hain
sabak padha hain jabse tere pyar ka
ha tere pyar ka
na duniya ki parvah, na hosh hain ghar baar ka
are aisa laga hain chaska dildar ka
ha dildar ka
na duniya ki parvah, na hosh hain ghar baar ka
jo padhne likhane me zero
jo padhne likhane me zero
aur khud ko samjhe ye hero
pada hain aiso se pala
akal pe jinki hain tala
are akal pe jinki hain tala
is tale ki tum chabhi ho
tum juli ho tum bobby ho
bas itna hain mujhe kahna
mere yaro ki tum bhabhi ho
mera yaro ki tum bhabhi ho
o meri ballo o chhammak chhallo
meri ballo o chhammak chhallo
o hallo hallo o challo challo
aaya aaya hain mausam pyar ka
sabak padha hain jabse tere pyar ka
ha tere pyar ka
na duniya ki parvah, na hosh hain ghar baar ka
chhe chhe baar hote rahte ho
ek hi class me fail
chhe chhe chhe chhe baar hote rahte ho
ek hi class me fail
ruki hui hain kai salo se, usi station pe rail
apni rail to pyar ki rail, ye to khadi rahegi
apni rail to pyar ki rail, ye to khadi rahegi
jab tak tum na dogi signal yahi pe aadi rahegi
ha ha yehi pe adi rahegi
khadi rahe to khadi rahe, adi rahe to adi rahe
fir sau sal kunaare baitho, baat adhuri padi rahe
ha baat adhuri padi rahe
mit jayenge pit jayenge lut jayenge
mit jayenge pit jayenge lut jayenge
fir bhi pichha na chhodenge sarkar ka
sabak padha hain jabse tere pyar ka
ha tere pyar ka
na duniya ki parvah, na hosh hain ghar baar ka