aanand ke pradata
he sneh saty data
avyaqt baap data
sagar padhariye
manjul madhur nimantran
antah karan se kan kan
prabhu aapko bulata
sagar padhariye
sagar padhariye
bichhde hain kalp bharke
pyase milan ke kabse
bacche bula rahe hain
mil jao aaj humse
drashti srashti rach do
murli se rang bhar do
wardaano ke he data
sagar padhariye
sagar padhariye
komal si bhavnaye
nirmal hirday ka kahna
sangam yug me baba
sang aapke hi rahna
dharti bhi nagme gaati
ambar bhi gungunata
sansar sara gata
sagar padhariye
sagar padhariye
tere pyar ko sanjoye
naino ko hain bhigoye
yaado ke motiyo ko
sanso me hai piroye
wo sadguno ke sagar
bharne har ek gagar
har hiya tumhe bulata
sagar padhariye
sagar padhariye
aanand ke pradata
he sneh saty data
avyaqt baap data
sagar padhariye
sagar padhariye
sagar padhariye