samundar ki lahre apne saro pe
jhaank ke taaz sajaye
ithlaati hui sahilo ki taraf badhti hain
sahilo par chattane
lahre chaknachur ho jati hain
aksar sapne bhi sachchai se
takraakar yun hi tutate hain
magar dil wo kambkhat hain
ki fir bhi ummid karta hain
saayad kabhi saayad kahin
saagar se bhi gahri hain tanhaiya
raat se bhi kali gam ki parchhaiyan
dhundati hu tumhe, khoye naa jane ho tum kaha
tum kaha, tum ho kahan
tm ho kahan, tum ho kahan
saagar se bhi gahri hain tanhaiya
raat se bhi kali gam ki parchhaiyan
dhundati hu tumhe, khoye naa jane ho tum kaha
tum kaha, tum ho kahan
suni suni hain suni suni hain
sapno ki ye vaadiyan
suna suna hain suna suna hain
armano ka ye jaha
suni suni hain suni suni hain
sapno ki ye vaadiyan
suna suna hain suna suna hain
armano ka ye jaha
phaila hain in hawaon me jaise dhuaan
tum ho kahan, tum ho kahan tum ho kahan
khoyi khoyi hain khoyi khoyi hain
dhadak ki har daasta
khoya khoya hain khoya khoya hain
yaadon ka har kaarvaan
khoyi khoyi hain khoyi khoyi hain
dhadak ki har daasta
khoya khoya hain khoya khoya hain
yaadon ka har kaarvaan
hairaan hain ye jamin aur ye aasmaan
tum ho kahan tum ho kahan
saagar se bhi gahri hain tanhaiya
raat se bhi kali gam ki parchhaiyan
dhundati hu tumhe, khoye naa jane ho tum kaha
tum kaha, tum ho kahan
tm ho kahan, tum ho kahan
hey thanks for uploading