sanson mein tum rahte ho
baaton mein tum rahte ho
lo chhod di humne duniya
aankhon mein tum baste ho
kyun chhod gaye humko sajna
sajna
dil pagal tha mera jo
tumko yun tut ke chaha
har khaab mein tumko dekha
har chah mein tumko paya
hume tod diya tumne sajna
sajna sajna
hume to teri khushiyan
apni hi samjhi thi
teri chhoti muskan
mere liye sabkuch thi
mera to har ik pal
har baat tumhari thi
sona kya jagna kya
din raat tumhari thi
ye din aur raat bitake
humko aise tadpaake
ye din aur raat bitake
humko aise tadpaake
hume bhul gaye ho kya sajna
sajna sajna
kahte ho door yun jana
meri majbori hai
ye baat yahi par khtam
ye hi jaruri hai
in baaton ko bhula dun
hume sath nahi rahna
har kisse chhod ke jana
hume door kahi rahna
itni baate batlake
humko itna samjhake
itni baate batlake
humko itna samjhake
door jaoge kitna sajna
sajna sajna
pathar nahi dil mera
tum jante to honge
dikhla nahi sakte hum
kitna roye honge
ab bhi teri har baate
humko yaad aati hai
is bheed mein bhi aankhe
tumko bulati hai
par dil mera ye pagal
samjhaau kaise har pal
par dil mera ye pagal
samjhaau kaise har pal
hum haar gaye dil se sajna
sajna sajna sajna sajna