laal joda mangao hath mehandi rachao
mathe bindiya lagao, naina kajra sajao ji
karo jaldi se, karo jaldi se solha singar
sakhi mujhe jana hai sajan ke dwar
sakhi mujhe jana hai sajan ke dwar
nacho gao jhum ke aayegi baaraat
babul ka ghar chhod ke jaye piya ke sath
karo jaldi se solha singar
sakhi mujhe jana hai sajan ke dwar
sakhi mujhe jana hai sajan ke dwar
kya hai meri majburi koi bhi na jane
kaise kahu mile bina jiya nahi mane
kya hai meri majburi koi bhi na jane
kaise kahu mile bina jiya nahi mane
mai to hone lagi bekarar, ab to hota nahi intzaar
are aao yaha aao bahana na banao suno ji meri baat
are aao yaha aao bahana na banao suno ji meri baat
karo jaldi se solha singar
sakhi mujhe jana hai sajan ke dwaar
sakhi mujhe jana hai sajan ke dwaar
is ghar angna se hamko hai jana
chhut jaye ek din desh ye begana
ho is ghar angna se hamko hai jana
chhut jaye ek din desh ye begana
do ghadi ka basera yaha kuch tere na mera yaha
batana ji batana na ham se chupana ki kaisi biti raat
batana ji batana na ham se chupana ki kaisi biti raat
karo jaldi se solha singar
sakhi mujhe jana hai sajan ke dwar
sakhi mujhe jana hai sajan ke dwar
ho laal joda mangao hath mehandi rachao
are mathe bindiya lagao, naina kajra sajao ji
karo jaldi se, karo jaldi se solha singar
sakhi mujhe jana hai sajan ke dwar
sakhi mujhe jana hai sajan ke dwar
nacho gao jhum ke aayegi baaraat
babul ka ghar chhod ke jaye piya ke sath
karo jaldi se solha singar
sakhi mujhe jana hai sajan ke dwar
sakhi mujhe jana hai sajan ke dwar