sakshi rahna dharti maata he yamune he gange
aaj dropadi dekh rahi ye purush hai kitne nange
are papiyo
are papiyo pap tumhara tumko hi kha jayega
naari ka apmaan kare jo wo samaj mit jayega
are papiyo
baithe dekho pathar bankar maharathi ye sare
sunte hai brahmand kaapta unke dar ke mare
hai koi maa ka lal
hai koi maa ka lal yaha jo dusto ko lalkare
chikh rahi hai bahan tumhari beti tumhe pukare
kaun khara hai kaun khota aaj ye parkha jayega
are papiyo, are papiyo
sunlo sau putro ki mata tum bhi ho ek naari
ek bar to mujhko dekho mai kul vadhu tumhari
dekho bikhre bal ye
dekho bikhre bal ye mere meri ye lachari
ab to aankh ki patti kholo ab mata gandhari
tumse in andho ka ye andher na dekha jayega
are papiyo, are papiyo
kan khol kar suno sati ki laz lutne walo
kuch din aur nirlazzo apna nacha dikha lo
dekh rahi mai dur disha me mahanash ki jwala
pahnegi nar chandi ek din nar mundo ki mala
ud jayenge raajmahal ye mit jayegi chahal pahal ye
ud jayenge raajmahal ye mit jayegi chahal pahal ye
nahi rahega ye sighaasan, nahi rahega ye duryodhan
ye bhishan anyay aaj ka khun se dhoya jayega
nari ka apman kare jo wo samaj mit jayega
are papiyo pap tumhara tumko hi kha jayega
nari ko apman kare jo wo samaj mit jayega
are papiyo