ye raaz husn ka parde me abhi rahne do
ye raaz husn ka parde me abhi rahne do
najar najar se dil ko dil ki baat kahne do
sambhalo khud ko bekhudi na had se badh jaye
na dil ko shauk-e-tamanna ke ro me bahne do
ye pyar kya hai janeman
ye mohabbat kya hai
kisi ke pyar me lut jane ki aadat kya hai
kisi ke husn ko tumne jo khuda maan liya
to pahle ye to jaan lo ke ibadat kya hai
gulam husn khud bane kuch aisa kaam karo
gulam husn khud bane kuch aisa kaam karo
kiya hai ishq to, na ishq ko badnam karo
kiya hai ishq to
kiya hai ishq to, na ishq ko badnam karo
salam lo na lo, gulam main tumhara hu
salam lo na lo
dikha ke jalwe husn dil ko bekarar kare
dikha ke jalwe husn dil ko bekarar kare
sikhaye humko pyar karna humse pyar kare
hansi hansi me koi hosh uda de aise
to koi kaise bhala khud pe akhtiyar kare
kahin bhi chain nahi, ab kahin karar nahi
begair tere ye bahar khushgwar nahi
meri bahar, mera pyar sabhi kuch tu hai
tere siwa mujhe kisi ka intzar nahi
bhatak raha jo gardisho me wo sitara hu
bhatak raha jo gardisho me wo sitara hu
tumhare husn tumhari ada ka mara hu
salam lo na lo, gulam main tumhara hu
salam lo na lo, gulam main tumhara hu
salam lo na lo, gulam main tumhara hu