khule gagan pe jhuk gayi kisi ki surmayi palak
kisi ki lat bikhar gayi ghiri ghata jaha talak
dhuli hawa mein ghul gayi kisi ki sans ki mahak
kisi ka pyar aaj bund bund se gaya chhalak
sawan ki rimjhim mein sawan ki rimjhim mein
thirak thirak nache re mayur pankhi re sapne
mayur pankhi re sapne
sawan ki rimjhim mein thirak thirak nache re
mayur pankhi re sapne mayur pankhi re sapne
kajrari palak jhuki re ghir gayi ghataye
chudiyan bajane lagi re sawani hawaye
mathe ki bindiya jo ghunghta se jhake
chamake bijuriya kahi jhilmila ke
bundon ke ghunghru chhanka ke
sawan ki rimjhim mein thirak thirak nache re
mayur pankhi re sapne mayur pankhi re sapne
chhalak gayi nil gagan se ras bhari phuaare
mahak uthi tere badan se bhigti bahaare
rimjhim phuaaro ke ras mein nha ke
simti hain phir meri baahon mein aa ke
sapno ki dulhan sharma ke ho
sawan ki rimjhim mein thirak thirak nache re
mayur pankhi re sapne mayur pankhi re sapne
mayur pankhi re sapne mayur pankhi re sapne