na tera durbhagya naya hai na jag ka vyahwar naya
na raho ke sul naye na pathar dil sansar naya
sita bhi jaha sukha pa na saki tu us dharti ki nari hai
sita bhi jaha sukha pa na saki tu us dharti ki nari hai
jo julm teri takdir bana jo julm teri takdir bana
wo julm yugo se jari hai
sita bhi jaha sukha pa na saki tu us dharti ki nari hai
wo kanya ho ya garbhwati ho nari ko sada apman mila
wo kanya ho ya garbhwati ho nari ko sada apman mila
awtaro ki nashal badhakar bhi patitao me parasthan mila
sadiyo se yaha har abla ne sadiyo se yaha har abla ne
ro ro ke umar gujari hai sita bhi jaha sukh pa na saki
tu us dharti ki nari hai
kahne ko to devi kahlayi par nar yaha daasi hi rahi
kahne ko to devi kahlayi par nar yaha daasi hi rahi
do pyar ke mithe bolo ki marte dam tak pyasi hi rahi
jo jahar mile wo piti ja tu kaunsi janam dulari hai
sita bhi jaha sukha pa na saki tu us dharti ki nari hai
mayka chuta sasural chuta jayegi magar jayegi kaha
mayka chuta sasural chuta jayegi magar jayegi kaha
ab balmiki sa koi rishi is dharti par payegi kaha
ab tu ek bhatki hirni hai ab tu ek bhatki hirni hai
or mard ki aankh shikari hai sita bhi jaha sukha pa na saki
tu us dharti ki nari hai sita bhi jaha sukha pa na saki
tu us dharti ki nari hai