shama se koi kah de ke
tere rahte-rahte andhera ho raha
ki tum ho vaha to milne ko yaha patanga ro raha
sitaaro unse kahna
najaaro unse kahna saja ye ho rahi
ke tum ho waha to milne ko yaha shama bhi ro rahi
sitaaro unse kahna
tadapta pyar ke ho didar magar divar hame roke
tadapta pyar ke ho didar magar divar hame roke
shama aise jale jaise patange se
juda ho ke, juda ho ke
duhayi dete-dete judayi sahte-sahte andhera ho raha
ke tum ho waha to milne ko yaha shama bhi ro rahi
sitaaro unse kahna
rulaate hai jalaate hai mitaate hai
yaha apne
rulaate hai jalaate hai mitaate hai
yaha apne
mitane se nahi mitte mohabbat ke amar sapne
amar sapne
judaai hanske kahna ke mere ho ke rahna
saja ye ho rahi
ke tum ho waha to milne ko yaha shama bhi ro rahi
sitaaro unse kahna
bandhi janjir magar bepir teri tasvir nahi jati
bandhi janjir magar bepir teri tasvir nahi jati
sitam ki baat sahe ham ghat
milan ki raat nahi aati, nahi aati
ki aahein bharte-bharte
tadap ke marte marte andhera ho raha
ki tum ho vaha to milne ko yaha patanga ro raha
sitaaro unse kahna
najaaro unse kahna saja ye ho rahi
ke tum ho waha to milne ko yaha shama bhi ro rahi
sitaaro unse kahna
Hello Madhuji and thank you.
Year: 1960
Lyric: G.S. Nepali (Govind Singh Nepali)