sharminda jis se chand hai, suraj hai gahan me
aisa hasin phul hai, ek mere chaman me
ek mere chaman me
sharminda jis se chand hai, suraj hai gahan me
aisa hasin phul hai, ek mere chaman me
ek mere chaman me
jalwo se jiske roshni taaro ko mili hai
jalwo se jiske roshni taaro ko mili hai
shada bhi jiske dum se, baharo ko mili hai
baharo ko mili hai
rahta hu magan main to sada uski lagan me
aisa hasin phul hai, ek mere chaman me
ek mere chaman me
main jab bhi uski baaho pe sar rakhke so gaya
main jab bhi uski baaho pe sar rakhke so gaya
duniya ke ranj-o-gham se, bahut dur ho gaya
bahut dur ho gaya
mehsus hua chain mujhe gham ki chubhan me
aisa hasin phul hai, ek mere chaman me
ek mere chaman me
mehbube zindagi hai wo, tasveer pyar ki
mehbube zindagi hai wo, tasveer pyar ki
paayi mere khabo ne, taabir pyar ki
taabir pyar ki
chahat ke sare rang mile meri dulhan me
aisa hasin phul hai, ek mere chaman me
ek mere chaman me
sharminda jis se chand hai, suraj hai gahan me
aisa hasin phul hai, ek mere chaman me
ek mere chaman me, ek mere chaman me