sharminda jisse chand hai suraj hai gahan me
aisa hasin phul hai ek mere chaman me
ek mere chaman me
sharminda jisse chand hai suraj hai gahan me
aisa hasin phul hai ek mere chaman me
ek mere chaman me
jalwo se jiske roshni taro ko mili hai
jalwo se jiske roshni taro ko mili hai
shada bhi jiske dam se baharo ko mili hai
baharo ko mili hai
rahta hu magan mai to sada uski lagan me
aisa hasin phul hai ek mere chaman me
ek mere chaman me
mai jab bhi uski baho pe sar rakh ke so gaya
mai jab bhi uski baho pe sar rakh ke so gaya
dunia ke ranjo gam se bahut dur ho gaya
bahut dur ho gaya
mahsus hua chain mujhe gam ki chubhan me
aisa hasin phul hai ek mere chaman me
ek mere chaman me
mahbube zindagi hai wo taswir pyar ki
mahbube zindagi hai wo taswir pyar ki
payi hai mere khwabo ne
taabir pyar ki taabir pyar ki
chahat ke sare rang mile meri dulhan me
aisa hasin phul hai ek mere chaman me
ek mere chaman me
sharminda jisse chand hai suraj hai gahan me
aisa hasin phul hai ek mere chaman me
ek mere chaman me ek mere chaman me