chalti saanse, hanste chehare
shehar to hain aabaad hamra
shehar me lekin chain kahan hain
aankho aankho ek kohara sa
palkon palkon koi dhuaa hain
shehar me lekin chain kahan hain
shehar me lekin chain kahan hain
haare thake bhaari kaandho par
bojh liye apne apne
saanso ki dori me sab ne
bandh rakhe hain kuchh sapne
din hain suhaane
shehar me lekin chain kahan hain
aankho aankho ek kohara sa
palkon palkon koi dhuaa hain
kise pata kitane kaalakqh hain
in jalte dipo ke niche
kise khabar kitne aansu
yaha ke ek hansi ke pichhe
baag saje hain bhara makaan hai
shehar me lekin chain kahan hain
aankho aankho ek kohara sa
palkon palkon koi dhuaa hain
nakli jhumle hi ki baate
chehro par haryaali hain
bhara pura ye shahar bhi yaaro
andar kitna khali hain
khushiyon ki har chij yahan hain
shehar me lekin chain kahan hain
chalti saanse, hanste chehare
shehar to hain aabaad hamra
shehar me lekin chain kahan hain
aankho aankho ek kohara sa
palkon palkon koi dhuaa hain