ho shiradi ke sai baba, hamre gosai baba
aaye ham tere darbar me
ho sai aaye ham tere darbaar me
chahe amir ho, chahe garib ho
sab hi samaye tere pyar me
ho sai aaye ham tere darbar me
ho shiradi ke sai baba, hamre gosai baba
aaye ham tere darbar me
ho sai aaye ham tere darbaar me
dur dur se tere darshan, karne ate nar nari
kalyug ke avtari baba, tum ho bade chamtkari
pathar ka singhasan tera, aasan bada nirala
tere dwar par chhua chhut ka, kabhi na lagta tala
ho tu hain dayalu data, sab jag tera gun gata
tujhsa na koi sansar me
ho sai aaye ham tere darbar me
ho shiradi ke sai baba, hamre gosai baba
aaye ham tere darbar me
ho sai aaye ham tere darbaar me
hindu muslim shikh isaai, sabse tera nata hain
tere dwar par aakar koi, khali hath na jata hain
din hin ki raksha karne dhuni teri jalti
tere duaaye jiske sath ho uski balaye talti
o teri sharn jo ata, tu hain jisko apnata
nayiya na dube majhdahr me
ho sai aaye ham tere darbar me
ho shiradi ke sai baba, hamre gosai baba
aaye ham tere darbar me
ho sai aaye ham tere darbaar me
nirdhan ko dhan nirbal ko balwaan
tuhi karne wala
andho ko aankhe
gungo me jubaan bharne wala
lule langde tere aash kar, paas tere jab jate
tere kripa se aise rog kya, maha rog mit jate
ho kanto bhi tujhko pyare, fulo ke bhi rakhwale
sab hi gunthe hain tere pyar me
ho sai aaye ham tere darbar me
ho shiradi ke sai baba, hamre gosai baba
aaye ham tere darbar me
ho sai aaye ham tere darbaar me