socho zara socho tum masla ye hai bhaiya
gaadi kaise daudegi na ho jo ek pahiya
yeh din jo na hota to hoti phir kaise ratiya
hoti na aawaze kaise karte batiya
socho zara socho tum masla ye hai bhaiya
palak bina kya hai yeh ankhiya
dhup bin kya ye chhaiya
milenge na jab tak sur aur taal
kaise naache ta ta thaiya
agar na hote hum aur tum
kaisi tanha hoti duniya
milnge hum kaise manzil se
mile na jab tak koi rasta
jinme ho na koi rang
hai wo phir tasvire kya
na judti ho kisi se phir wo takdire kya
socho zara socho tum masla ye hai bhaiya
to phir kahi yeh na ho yaara
yeh dil apna bhi pyara
kisi na kisi sapne ke pichhe
fire na wo bhi maara maara
adhure sapno ki ye arthi
na kahin chume yeh dharti
kahenge sab tha ek diwana
haay nikli saari masti
aana hai hum tak bhi to un sari baharo ko
kabhi mausam bhi samjhega apne isharo ko
socho zara socho tum masla ye hai bhaiya