hota hai anyaay yaha
dekh liya ke apna jaha
soya hai bhagwaan kaha tu
soya hai bhagwaan kaha tu
maane ham tujhko apna
tu hamse anjaan bana
soya hai bhagwan kaha tu
soya hai bhagwan kaha tu
dekh le aake apni dharti
ye saapo ki basti hai
sidhe saadhe insaano ko
bin karan ye dasti hai
jo nirdoshhai us par hi kyu
dosh lagaya jata hai
anyayo ki suli par kyu
usko chadhaya jata hai
sare jag mein yaha waha
faila hai papo ka duaa
soya hai bhagwan kaha tu
soya hai bhagwan kaha tu
hota hai anyaay yaha
dekh liya ke apna jaha
soya hai bhagwaan kaha tu
soya hai bhagwaan kaha tu
sachche dharm ko jisne faada
jhuthe reet riwajo mein
bandi kiya usne hi tujhko
mandir ke darwajo mein
jo abhimaan mein aakar tere
tere shasan mein baandh daale
kyu usko hi manmani pe
tu chup hai duniya wale
bhul ke tu ye jag apna
dekh raha kiska sapna
soya hai bhagwan kaha tu
soya hai bhagwan kaha tu
hota hai anyaay yaha
dekh liya ke apna jaha
soya hai bhagwaan kaha tu
soya hai bhagwaan kaha tu
unch nich ki baat ye kaisi
tu hai agar ghat ghat wasi
bhed bhav ki deewaro mein
band bhav ki deewaro mein
band naa rah aur avinasi
o kan kan mein basne wale
o kan kan mein basne wale
ab tod de mandir ke ghere
duniya ko bata de o data
tu sabka hai sab hai tere
ae satta dhari sarwesawr
aaj naa jo tu aayega
ek nirdosh ki hatya ka
tujhko kalank lag jayega
hari aaj parbhu aaja
hari aaj parbhu aaja
hari aaj parbhu aaja