Lyrics of Sri Raghunadhika Katha Sravan - श्री रघुनाथ की कथा श्रवन से मिटते पाप सदा
shri raghunath ki katha shrvan se hi mitte paap sada
pawan ati pawan aadarsh dham hai charak sahit ke
moksh dayni katha, janak jaa sawyamwar hai
janakpur manohar hai garw dikhaya rawan ne
dhanush ko toda raghuwar ne shiv dhanu bhang ki gunj uthi
shubh vivah ki shobha badhi subh tithi subh ghadi
shiv ke hari ke pani grahan ka ati sunder darshan
ananad ananad charo disha devi sita bani hai dulahaniya
prabhu ram bane dekho dulha anand anand charo disha
shri raghunath ki katha shravan se hi mitte paap sada
sita ayodhya aayi raghuwar ke sang
charo disha me faila khushiyo ka rang
rajyabhishek ka nirnay hua rani kaikayi ne usko roka
ram banwas kare bharat hi ho raja
pati se war manga teer laga jaisa
dashrath ji murchit hue putr moh ko taj na sake re
sheesh jukhaye lete vidayi chalte awadh se ram raghurai
chale siya lakshman ke sang ram ban gye vanwaasi
shobha badh gayi van kal ki
mudi katha kuch aisi roye sabhi rehvaasi
shri raghunaath ki katha shravan se hi mitte paap sada
wan pe parnkuti hai raam nivaas yahi hai
swarn hiran ki aankhe chamki seeta reh gayi use dekhti
man ko na rok saki mrig chahiye ye kehti
ye kaamna poorn kare ye shrri raam hai van ko chale
ati chatur bhringi maayavi wo mrig bana maarich
shri raam ka baan use jaise laga wo dusht laga fir cheekh
lakshman lakshman lakshman bhawti bhikhshaam dehi
raavan wahan ja pahuncha bhikshuk sa banke
dene biksha nikli hai seeta jaise paar ki lakshman rekha
dhara sahit utha liya dharni suta ka haran kiya
shri raghunaath ki katha shravan se hi mitte paap sada
seeta seeta praan piya
soona soona jiwan hai virahshul si chubhan hai
siya ke bina raha na jaaye man mandir ye toota jaaye
bin dekhe tumhe chain naa aaye
pal pal yun sang bita jaaye
gati bin jeevan badh na paaye sita kahan kho gayi tum
apna yeh milna jaise ek sapna
kanth me dukh hai aankho me praan hai
kate hue pankh hai jatu vihang hai
sunaate seeta vritant hai
aarambh hua hanumant bhagwatam
Why is one son blue and other brown? Both are sons of God and Goddess. They should both be blue.