subah subah subah subah
subah subah ek khwab ki dastak par darvaja khola
subah subah subah subah
subah subah ek khwab ki dastak par darvaja khola
dekha sharhad ke us paar se kuchh mehman aaye hai
aankhon se manus sare chahare sare sune sunaye hai
subah subah subah subah
pav dhoye hanth dhulaye aangan mein aasan lagvaye
aur tandur se makki ke kuchh mote mote rod pakaye
potali mein mehman mere pichhale
salo ki faslo ka gud laye the
subah subah subah subah
aankh khuli to dekha ghar mein koi nahi tha
hanth lagakar dekha to tandur abhi tak bujha nahi
aur hontho par mithe gud ka jayeka ab tak chipak raha tha
khwab tha shayad khwab hi hoga
sharhad par kal raat suna hai chali thi goli
sharhad par kal raat suna hai
kuchh khwabo ka khun hua hai
subah subah subah subah
subah subah subah subah
subah subah subah subah