suhani shaam hai mahfil saji hai
khili hui aaj man ki kali hai
suhani shaam hai mahfil saji hai
khili hui aaj man ki kali hai
kitna pyara ye sama hai
kitna pyara ye sama hai
khushi manane ki ye ghadi hai
suhani shaam hai mahfil saji hai
mahke huye hain armaa dilo ke
leke bahare ye shaam aayi
mahke huye hain armaa dilo ke
leke bahare ye shaam aayi
hanste nazare bahki fiza ye
leke khushi ka paigaam aaye
suhani shaam hai mahfil saji hai
mehmaan laaye pyar ke tofe
aankho me jage sapne suhane
mehmaan laaye pyar ke tofe
aankho me jage sapne suhane
har ek chahra khilta hua hai
aai khushi ye dil ko milane
suhani shaam hai mahfil saji hai
kya bekhudi hai kaisa nasha hai
kaisi ye masti chaai hui hai
kya bekhudi hai kaisa nasha hai
kaisi ye masti chaai hui hai
bikhre huye hain nagme khushi ke
ye shaam jaise dulhan bani hai
suhani shaam hai mahfil saji hai
khili hui aaj man ki kali hai
kitna pyara ye sama hai
kitna pyara ye sama hai
khushi manane ki ye ghadi hai
khushi manane ki ye ghadi hai