Lyrics of Suhani Sham Aayi Hai Kisi Ke Aane Se - सुहानी शाम आयी है किसी के आने से
suhani sham aayi hai kisi ke aane se
huye jate hai hum to jhumkar diwane se
suhani sham aayi hai kisi ke aane se
huye jate hain hum to jhumkar diwane se
unse milte hi nazar aisa hota hai asar
jaise nashe ki lahar koi kar de bekhabar
suhani sham aayi hai kisi ke aane se
huye jate hain hum to jhumkar diwane se
aaye hain wo aise jaise khusabu virano me
jaise koi pehchana mil jaye anjano me
ho aaye hai wo aise jaise khushabu virano me
jaise koi pehchana mil jaye anjano me
dil mera gane laga masti chhalkane laga
mujhse dil khone laga ho unko dil pane laga
suhani sham aayi hai kisi ke aane se
huye jate hain hum to jhumkar diwane se
ye hai wo jo khawabo me bhi nind chura lete hain
sulage sulage man ko mere aur hawa dete hain
ye hai wo jo khawabo me bhi nind chura lete hain
sulage sulage man ko mere aur hawa dete hain
phir ye jalta hai badan aisi hoti hai jalan
unse milne ke liye jag jati hai lagan
suhani sham aayi hai kisi ke aane se
huye jate hai hum to jhumkar diwane se
unke aate hi ye kaisa jadu chal jata hai
pal bhar me hi armano ka rang badal jata hai
unke aate hi ye kaisa jadu chal jata hai
pal bhar me hi armano ka rang badal jata hai
hum sharmane lagte hai hum lahrane lagte hai
kitni roke hum khushi muskarane lagte hai
suhani sham aayi hai kisi ke aane se
huye jate hain hum to jhumkar diwane se
unse milte hi nazar aisa hota hai asar
jaise nashe ki lehar koi kar de bekhabar
Youthful melody. Not a big hit at the time but nice composition by RD