sun yaar mere yaari teri
mujhe jaan se pyari hai
do zism hain hum dono lekin
ek jaan humari hai
sun yaar mere yaari teri
mujhe jaan se pyari hai
do zism hain hum dono lekin
ek jaan humari hai
pyar hai dosti, dosti pyar hai
main tera yaar hu, tu mera yaar hai
sun yaar mere yaari teri
mujhe jaan se pyari hai
do zism hain hum dono lekin
ek jaan humari hai
ye soch ke mandir me jakar
main jalaata hu ghee ke diye
ambar par jitne tare hain
tu utne baras tak jiye
kal maine masjid me jakar
ye mangi thi rab se dua
daaman ko tere na chhu paye
is duniya ki garm hawa
tu hai to zindgi phoolo ka haar hai
main tera yaar hun, tu mera yaar hai
sun yaar mere yaari teri
mujhe jaan se pyari hai
do zism hain hum dono lekin
ek jaan humari hai
aankho me teri aansu dekhu
aankh meri chalakne lage
chehre pe tere dekhu jo hansi
mera chehra chamkne lage
ek pal ke liye meri aankho se
tu jo ho jaye ojhal kahi
soone soone se lagte hain
mujhko ye falak ye zami
bin tere saans lena bhi duswaar hai
main tera yaar hun, tu mera yaar hai
sun yaar mere yaari teri
mujhe jaan se pyari hai
do zism hain hum dono lekin
ek jaan humari hai
upar wale ne ye duniya
jis waqt banayi thi dosti
usse pahle yaari ki sama
usne bhi jalayi thi dost
ye majhab ki deewar hume
kar payegi kaise juda
bhagwan ke sath me lete hain
hum dono naam e khuda
pyar hai roshni, roshni pyar hai
main tera yaar hun, tu mera yaar hai
sun yaar mere yaari teri
mujhe jaan se pyari hai
do zism hain hum dono lekin
ek jaan humari hai
sun yaar mere yaari teri
mujhe jaan se pyari hai
do zism hain hum dono lekin
ek jaan humari hai
pyar hai dosti, dosti pyar hai
main tera yaar hu, tu mera yaar hai
sun yaar mere yaari teri
mujhe jaan se pyari hai
do zism hain hum dono lekin
ek jaan humari hai
sun yaar mere yaari teri
mujhe jaan se pyari hai
do zism hain hum dono lekin
ek jaan humari hai