suno kahaani ek ladake ki
jo tha bada kya sharaarti
suno kahaani ek ladake ki
jo tha bada kya sharaarti
chhup jaata tha idhar udhar
dekho shaitaan phir se chhup gaya
chhup jaata tha idhar udhar
aata nahi tha kahi najar
jab mummy use pukaarti
suno kahaani ek ladake ki
jo tha bada kya sharaarti, suno kahaani
ek raat ko kya hua ye suno
log sabhi chain se so gaye the
apne apne gharo me wo aaram se
mithe nithe khwaab me sab kho gaye the
itane me bahar hua shor
galiyo me lage kutte bhaukane
jaage sabhi aawaaj sunke
bachche lage nind se chaukne
are baap re
chilla raha tha koi aao mujhko bachaao
is sher ke panje se koi mujhe chhudaao
fauran sab hathiyaar lekar bhaale aur talwaar lekar
daudkar pahuche waha sher wo tha lekin kaha
shaitan ladka has raha tha kya buddhu banaaya
hai kahaani khatm yaha jhuth bol rahi ho
bataao naa aage kya hua o ho
achha baba suno, suno kahaani ek ladake ki
jo tha bada sharaarti, are suno kahaani
ye shararat usko badi mahangi padi
kya khabar thi use khaayegi aisi ghadi
ek raat ko raaho me jab gahara andhera chha gaya
ghar ko jab wo chala to sher sachmuch aa gaya
sher ko dekhkar bachhao bachaao kahkar wo chillaya
magar is baar koi gaanv waala uski madad ko nahi aaya
majbur hokar jor se rone laga wo
itana dara behosh sa hone laga wo
dil me raham tab sher ke aaya
usne ladke ko samjhaaya
ho bade shaitaan tum par aaj pakado kaan tum
ladke ko tab aayi sharm
usne kaan pakadkar kaha
mai kabhi shararat nahi karunga
didi mai bhi kabhi shararat nahi karunga
ye thi kahaani us ladke ki jo tha bada sharaarati
sudhar gaya wo is kadar aa jaata tha wo idhar udhar
jab mummy use pukaarti
jab mummy use pukaarti