hoy suno meri sarakaar chale ab nainon ki talawar
lo seena khol diya suno meri sarakar
chale ab nainon ki talawaar lo seena khol diya
aankho ka liya taraazu dil ko taul diya
aankho ka liya taraazu dil ko taul diya
lo seena khol diya suno meri sarakaar
chale ab nainon ki talawaar lo seena khol diya
suno-suno ae duniya walo bhaiyo bahno aur bachcho
suno-suno ae duniya walo ek anokhi nai kahani
miya bana hai ghar ka naukar
haay naukar miya bana hai ghar ka naukar
beewi ghar ki rani aata goondgen chakki pise
roti aap pakaye miya aur jo kah de biwi ja ke
pani bhi bhar laayen kunve se pani bhi bhar laayen
aur jaate-jaate gunagunaye
suno meri sarakar chale ab nainon ki talawar
lo seena khol diya aankho ka liya tarazu
dil ko taul diya lo seena khol diya
suno meri sarakar chale ab nainon ki talawar
lo seena khol diya
aur phir doosare din savere ban-than ke jab beewii-raani
apne baal sanwaare ghar ke maile kapade miyaan
dho-dho kar hain haare jiyo raam jiyo raam jiyo oy
jiyo raam jiyo raam jiyo
thanda paani haath hain naazuk
pad gaye mote chhaale haay chhale
phir bhi rah-rah ke mera dil
boli yahi pukaare suno meri sarakaar
chale ab nainon ki talawaar lo seena khol diya
aankhon ka liya taraazu dil ko taul diya
lo seena khol diya suno meri sarakaar
chale ab nainon ki talawaar lo seena khol diya
aur usake baad das baje
aji bachchi ko le god mein abba chale nahalaane
saabun kanghi tel tauliya beti ka ji bahalaane ko
sau-sau diye bahaane baith ke uthe uth kar baithe
ghoosam-laat machaaye naach-naach kar haar gaye to
miyaan lage ye gaane suno meri sarakaar
chale ab nainon ki talawaar lo seena khol diya
aankhon ka liya taraazu dil ko taul diya
lo seena khol diya suno meri sarakaar
chale ab naino ki talawaar lo seena khol diya