suno ramjan ki dasta to suno
rahmato ka baya hai baya to suno
rahmato ka baya hai baya to suno
ladka tha ek sahar me jo husn bemisal
kamsin tha jiski umar thi samjho ki sat sala
ramjan ke jo chand pe uski najar padi
uske bhi dil me roze ki ek aarzu jagi
roza rakhunga mai bhi ye ma bap se kaha
sahri karunga mai bhi jaga dena tum jara
suno ramjan ki dasta to suno
rahmato ka baya hai baya to suno
rahmato ka baya hai baya to suno
ladke ki bat sunli magar kuch nahi kaha
ladka subah utha to hua unse wo khafa
samjhaya ma ne bap ne aye mere gulshita
roza nahi hai farz abhi tujhpe meri ja
nanhe se dil ko bat ka sadma bada hua
maa se kaha kuran me kahta hai ye khuda
roze ke bhukh pyas jo hasti uthayegi
us rozedar ko na ye to jakh jalayegi
kuran jisme utra suno wo mahina hai
tauba kabul karta khuda wo mahina hai
suno ramjan ki dasta to suno
rahmato ka baya hai baya to suno
rahmato ka baya hai baya to suno
aayi jo sar pe rat to wo jagta raha
shahri bhi karli chupke se khush hoke so gaya
utha subah to maa se kaha sara majra
maa ne bade hi pyar se usse ye kaha
roza na rakh sakega ye jidd chhod maan ja
de dungi apna roza tujhe mere dilruba
todunga mai na roza kabhi kuch na khaunga
akhir khuda ko kis tarah ye muh dikhaunga
maa ne kaha ki bukh lagi hogi ladle
garmi hai tujhko pyas lagi hogi ladle
kahne laga ki chahe jami par ho aftab
pani ka ek katra pina bada azab
suno ramjan ki dasta to suno
rahmato ka baya hai baya to suno
rahmato ka baya hai baya to suno
almukta sar jo gayi aa gayi asar
wo pyas jaan le gayi pathra gayi najar
maa ne kaha ki haye mera lal chal diya
iftari jo banai thi wo bhi na kha saka
roze ka waqt ho gaya lekin kaha hai wo
ab to khuda ki rah me aakhir rawa hai wo
itne me ek fakir ne aakar ye di sada
mai bhi hu rozedar ki lelo meri dua
jo kuch bhi paas ho mujhe khana khilayiye
matam ye kaisa hai jara itna batlayiye
aankho se aasuo ka janaza gujar gaya
maa bap dono bole ki bacha hi mar gaya
bola fakir ki mujhko khudara batao tum
lash kaha hai bete ka mujhko dikhao tum
sahil me lash dekh ke na jane kya padha
murde ke dil pe hath rakha or di sada
masum rozedar ki ab roza khol tu
kab tak yu chup rahega jara muh se bol tu
itna hi sunke bache ne fir aankh khol di
maa mamta ki mari thi usse lipat gayi
sahil nahi tha wo farishta khuda ka tha
bache ko jinda karke jo rupesh ho gaya
aati hai insan pe imtiha ki ghadi
allah pe jan de de wo marta nahi kabhi
marta nahi kabhi marta nahi kabhi marta nahi kabhi
Itnay mein ek faqeer nai aakar yeh di sadaa, Main bhi hoon rozay daar
(Fasting) keh lay lo meri dua, Jo kuchh bhi paas ho mujhay khaana
khilaaiaye, Maatam yeh kaisa hai, zara itna bataaiaye, Aankhon say aansuoon
ka janazah guzar gaya, Maan baap donon bolay keh "Bacha hii mar gayaa!"
Bola faqeer mujhko Khda raa(For God sake) bataao tum, Laasha (Dead body)
kahan hai baitay ka mujhko dikhaao tum, Saayel (beggar) nay laash daikh kay
kya jaanay kya parha, Murday kay dil pay haath rakha aur di sadaa