suno suno ae duniya walo bapu ki ye amar kahani
wo bapu jo puj hai itna jitna ganga maa ka pani
suno suno ae duniya walo bapu ki ye amar kahani
paurbandar gujrat desh me ek rishi ne janam liya
maat pita ne mohandas karamchand gandhi naam diya
bachpan khel kud me gujra london jakar vidya payi
barister ban africa me jakar apni dhak jamai
lekin wo prani duniya me amar kahane aate hai
wo kab maya moh me fanskar apna samay ganwate hai
suno suno ae duniya walo
bapu ki ye amar kahani
africa me hindi jan ki badi durdasha payi
gore raaj se takkar lekar satay ki jyot jalayi
phir bharat ki sewa karne apne desh me aaya
sabarmati me satayagrah ka aashram aan banaya
aur khilafat conference me sabhapati ka darja paya
islami adhikar ki raksha main bhi hath bantaya
hindu muslim dono uski aankho ke taare the
duniya ke sare hi majhab bapu ko pyare the
suno suno ae duniya walo bapu ki ye amar kahani
bharat kaumi congress ki aisi dhum machayi
kaumi jhande ke niche phir janta daudi aayi
khadi ka parchar kiya phir ghar ghar khadi aayi
aur videshi maal ki holi gandhi me jalwayi
charkhe ki aawaz jo gunji huyi machine thandi
aur shan se lahrayi bharat ke tirange jhande
suno suno ae duniya walo bapu ki ye amar kahani
wo bapu jo puj hai itna jitna ganga maa ka pani
suno suno ae duniya walo bapu ki ye amar kahani
suno suno ae duniya walo bapu ki ye amar kahani
phir puran sawraj ka nara ja lahore pukara
aazadi ka veer sipahi kabhi na himmat hara
phir dandi par jakar apne hatho namak banaya
sare desh ko satyagrah ka sunder sabak padhaya
bharatwasi japte the phir gandhi naam ki mala
chalis karod dilo me chhaya ek langoti wala
suno suno ae duniya walo bapu ki ye amar kahani
sacchai ka atal pujari jisne kabhi na himmat haari
sarkari kanun todkar duniya ke aaram chhodkar
desh ki khatir jel gaya aur apne sukh pe khel gaya
suno suno ae duniya walo bapu ki ye amar kahani
harijano ka maan badhane ki khatir vrat kiya
gandhi ne duniya ke aage ek naya mat rakha
gaanv gaanv me harijano ki halat dekhi bhali
harijan naam se har sewak ne ik akhbar nikali
congress ki baag dor phir veer jawahar ko dekar
shuru kiya bapu ne apna gram sudhar ka chakkar
suno suno ae duniya walo bapu ki ye amar kahani
ek nayi aawaz jo aayi shuru huyi ek nayi ladayi
gunja phir bapu ka nara chhodo hindustan humara
chhodo hindustan humara
phir aayi ek jel yatra jelo se kab darta tha wo
aazadi ka parwana tha aazadi par marta tha wo
suno suno ae duniya walo bapu ki ye amar kahani
wo bapu jo puj hai itna jitna ganga maa ka pani
suno suno ae duniya walo bapu ki ye amar kahani
suno suno ae duniya walo bapu ki ye amar kahani
jel ke ander honi ne phir apna teer chalaya
bapu ji ki ardhangi ko ant bulawa aaya
jel ke ander khamoshi se devi ji ki chita jalayi
janta apni maa ke antim darshan bhi karne na payi
suno suno ae duniya walo bapu ki ye amar kahani
hindu muslim ke sino me phir bhadki nafrat ki jwala
jisko dekh ke dukhi hua quran aur geeta ka matwala
nawakhali me khun ki holi haiwano ne kheli
daya ki murat bapu se ye pida gayi na jheli
tan pe langoti hath me danda hontho pe thi prem ki vani
nagar nagar paidal firta tha assi saal ka budha prani
suno suno ae duniya walo bapu ki ye amar kahani
son saitalis pandrah august ko aazadi ka din jab aaya
apne desh me apna jhanda dhumdham se lahraya
lekin us din din pyara bapu bharat ka ujiyara bapu
dur delhi se nawakhali me kamjoro ki rakhwali me
apni jana ladaye tha aur apna aap chhupaye tha
suno suno ae duniya walo bapu ki ye amar kahani
culcutte me phir vrat rakha hindu muslim ko samjhane
bapu ka ye chamatkar rha samajh gaye dono diwane
culcutte se delhi aakar us nagri ka maan badhaya
sanjh savere ram naam ka birla ghar me diya jalaya
raghupati raghav raja ram ishwar allah tere naam
bapu ka aadhar yahi tha bapu ka parchar yahi tha
suno suno ae duniya walo bapu ki ye amar kahani
wo bapu jo puj hai itna jitna ganga maa ka pani
suno suno ae duniya walo bapu ki ye amar kahani
suno suno ae duniya walo bapu ki ye amar kahani
wo bapu jo puj hai itna jitna ganga maa ka pani
suno suno ae duniya walo bapu ki ye amar kahani
tees january sham ko bapu birla ghar se bahar aaye
prathna sathan ki janib dhire dhire kadam badhaye
lekin us din honi apna rup badalkar aayi
aur ahinsa ke sine pe hinsa ne goli chalayi
bapu ne kaha ram ram aur jag se kiya kinara
ram ke mandir me ja pahucha shri ram ka pyara
jaao bapu jaao bapu rahega nama tumhara
jab tak chamke chand sitare chamke kama tumhara
bapu tumne pran diye aur maut ki shan badhayi
tumne apan khun diya aur prem ki jyot jalayi
jai bapu ki jai gandhi ki bolo sab jan jai gandhi
jisne hindu muslim me ek dor pyar ki baandhi
yaad rahe bapu ki kahani bhul na isko jaye hum
bapu ne jo diya jalaya uski jyot badhaye hum
jai bapu ki jai gandhi ki bolo sab jan jai gandhi
jai bapu ki jai gandhi ki bolo sab jan jai gandhi
jai gandhi, jai gandhi, jai gandhi
jai gandhi, jai gandhi
Moh'd Rafi , brothers Husanlal Bhagatram , and the poet who penned this
poem of tribute created a piece of treasure for it highlights his message
with reference to his lifestyle as well as milestones in his life story.
Not an easy challenge. Wonder if Kavi Pradeep wrote the lyrics. Thank,
ajayuv.