Video of this song from youtube
Video of this song is not available at any authorized channel at YouTube right now or the channel is not allowing embedding on our website.

We will add as soon as the video of the song is available.
Lyrics of Suno Suno O Gaaon Ke - सुनो सुनो ओ गाँव के
suno suno oh gaon ke rahne walo dekho
dekho gaon me aaya ik vyapari
door desh ke dhan se uski jeb hai bhari
hai uske dil me arman
khareide sab kheti khalyan
hamara kar de wo kalyan
wo aaya karke hai sari taiyari
suno suno oh gaon ke rahne walo dekho
dekho gaon me aaya ik vyapari

pare hat itna sar mat chadh tujhe kya samjahe anpadh
zara thehro ki hum samjhaega tum humko kehne do
tumhare gaon me hum karkhana jab lagwaega to sare gaon
ko hum shehar ke jaisa banaye ga
jaha purwai ke badle me chimni ka dhuan hoga
na fir ye dharti aisi hogi na fir ye asma hoga
are ye bhi to socho ki jo kuch shehar
ma hota hai vo sab kuch yaha hoga
magar itna bata do mujhko tum bhaiya
kisaan apni zami jo bech dega to kya hoga
to fir tum ye kaho ki tum ko buri halat ki adat hai
tarakki se tumhe nafrat garibi se mohabbat hai
garibi se nahi mujhko garibo se mohabbat hai
yahi hai meri pooja aur yahi meri ibadat hai
aur tarakki ke liye kya socte ho
tarakki wo nhi hoti jo ik dhanvan ka ghar bhar de
lakin sakdo nirdhan rahe beghar jiye
din raat mar mar ke tarakki wo nhi hoti
to phir hum bhi sune tarakki
tum kaun si chidiya ko kehte ho
tarakki isko kehte hai ki har ik ghar me roti ho
tarakki isko kehte hai ki har angan me jyoti ho
tarakki isko kehte hai ki har ik seene me aasha ho
tarakki ye nahi hoti ki bhasahn ho comission ho
tamasha ho bahut naraz ho lekin suno

zami hum tumse jo lenga to pura daam bhi denga
yaha par mil banayega to sabko kaam bhi denga
yaha tum apne aap malik ho magar ye seth ji
ab tumko naukar banayega daam chalo ye bhi
suno ke daam ye kitna chukaega
ye wo dharti hai jisko mere purkho ne
lahu se seench kar fasle ugai thi
batao mere purko ke lahu ka daam kya doge
ye dharti hai jiski god me bachpan mera khela
ye dharti meri maa hai batao meri maa ki
mamta ka daam kya doge zara dekho
zara dekho hamare gaon walo ko dekho
hawao me base hai geet hamari behno mao ke
zami per dekhte hai hum nisha purkho ke paon ke
yaha ke zarre zarre me hamari kitni yaade hain
hamari jaan hai gaon meri pahchan hai gaon
meri pehchan ka tum ye batao daam kya doge

bahut pancham me baat kar raha hai
magar ye to kahe kya chahta hai
tumhare dil me gaon ka bhala hai
to aao saath aao mere
kande se tum kandha milao
hum is dharti se wo fasle ugayein
ke har bhuke ko hum roti khilae
mita dale garibo ka ye kissa
barabar ka mile har ik ko hissa
na koi malik ho na koi naukar
lutera ho koi na na koi beghar
hum apne gaon ko aisa banaye
hum apne desh ko aisa banaye
bolo hai manzoor hai manzoor
hai manzoor hai manzoor hai manzoor hai manzoor
hai manzoor hai manzoor hai manzoor hai manzoor
lyrics of song Suno Suno O Gaaon Ke
MovieFilm CastSingerLyricistComposerDirectorProducerExternal Links
Yugandhar (1993)
Mithun Chakraborty, Kabir Bedi, Sangeeta Bijlani, Kiran Kumar, Paresh Rawal, Johny LeverN ChandraYugandhar at IMDB      Yugandhar at Wikipedia
Popular Links on HindiGeetMala
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films
  • Search Songs
    Type
  • Search Films
    Type