jab aanchal raat ka lahraye
aur sara aalam so jaye
tum mujhse milne shamma jalakar
taaz mahal mein aa jana
tum mujhse milne shamma jalakar
taaz mahal mein aa jana
jab aanchal raat ka lahraye
ye taaz mahal jo chahat ki
aankho ka sunhara moti hai
har raat jaha do ruhon ki
khamoshi jinda hoti hai
is taaz ke saye mein aakar
tum geet wafa ka dohrana
tum mujhse milne shamma jalakar
taaz mahal mein aa jana
jab aanchal raat ka lahraye
tanhaai hai jagi jagi si
mahol hai soya soya huya
jaise ki tumhare khawoon mein khud
taaz mahal ho khoya huya
to taaz mahal ka khawaab tumhi ye
raaj na maine pehchana
tum mujhse milne shamma jalakar
taaz mahal mein aa jana
jab aanchal raat ka lahraye
jo maut mohabbat mein aaye
wo jaan se badhkar pyari hai
do pyar bhare dil roshan hai
wo raat bahut andhiyari hai
tum raat ke is andhiyare mein
bas ek jhalak dikhla jana
tum mujhse se milne shamma jalakar
taaz mahal mein aa jana
jab aanchal raat ka lahraye
aur sara aalam so jaye
tum mujhse milne shamma jalakar
taaz mahal mein aa jana
tum taaz mahal mein aa jana
tum taaz mahal mein aa jana
tum taaz mahal mein aa jana