tera milna itifakan thi kismat meri
mere hatho mein likhi huyi thi ulfat teri
jo chubhe hain dil mein aisa ishq ka teer hain
jo mite na hatho se ye vo lakeer hain
teri chahat hi ab apni takdeer hain
samay ka hain khel sara kab kise kya mile
ek din milta hain itna ek din sab lute
aaj dekho to yahan par jo fakeer hain
kal milo jo usko sabse wo amir hain
pal mein jo badale wo apni takdeer hain
takdeer hain haan takdeer hain
is jahan mein itifakan kuch na hota hain
jo bhi hota hain uska maksad kuch to hota hain
tujurba se sikhkar tum ye jivan jiyo zara
karoge wahi bharoge ye tum jaan lo zara
jindagi mein raasta khud chunna hota hain
sab yahan apne karamon ki hi tasir hain
jo dikhaye raah wo apna zamir hain
atake hatho mein hi apni takdeer hain
takdeer hain takdeer hain
kare koshish hum brabar tab ye manzil mile
koshishon se hi jahan mein unche prvat hile
par hume bandhe samay ki ik zanzeer hain
jo ise todegi wo apni takdeer hain
par ye tab hoga jab apni takdeer hain
takdeer hain takdeer hain
begano mein bas ek apni takdeer hain
takdeer hain haan takdeer hain
takdeer hain haan takdeer hain