kabhi uthi hai tamanna mere dil me yun
ke main apne mulk ko kuch de na paya kyu
kabhi uthi hai tamanna mere dil me yun
ke main apne mulk ko kuch de na paya kyu
jinhone hasti apni rakhi daanv par mulk ke liye
kya baat thi ke un jaise, hum mare na jeeye
vo log kaisa mukadder liye aate hai
kurbaan huye vatan pe jaha buzurgo ke saaye the
humne bhi kaash kahi apna naam likha hota
himmat se badhkar khet vatan ka to sincha hota
jab phul khilte hai har baras chaman me
shahido ke naam yaad aate hai jahan me
koi magar humko kyu puchhe jara ruk ruk kar
humaari lau to jali nahi desh par bujh kar
kyu der abhi itni to na hui
ke hum chal pade lekar kahani ankahi
abhi jaagi hai lahu bhi aur himmat nahi kam
kaleja ye cheer sakte hai, jab tak hai dam
magar aaj ka waqt nahi maangta hai khun
ye daur nahi kuch karne ka jisme ho junu
to fir vatan ki daastaan me kaise ho shumaar
khud karega ilaaaz uska jo vahsat ka hai gubaar