tauba tauba koi bachaye
ha tauba tauba koi bachaye
koi bachaye aise ladako se
tauba tauba koi bachaye
koi bachaye aise ladako se
bante hain hero, padhne me jiro
bante hain hero, padhne me jiro
koi na inki, bato me aaye
tauba tauba koi bachaye
ha tauba tauba koi bachaye
koi bachaye in ladkiyo se
tauba tauba koi bachaye
koi bachaye in ladkiyo se
ye nakhre wali, deti hain gali
ye nakhre wali, deti hain gali
koi na inko sar pe bithaye
tauba tauba koi bachaye
ye avara hain diwane
ye avara hain diwane, jhuthe aashiq bante hain
jhuthe aashiq bante hain
jor nahi haddi pasli me
jor nahi haddi pasli me, khali pili tante hain
khali pili tante hain
daulat ye maa bap ki apni, khub udate firte hain
bholi bhali har ladaki par, rob jamate firte hain
jhuthe irade jhuthe hain wade
jhase me inke koi na aaye
tauba tauba koi bachaye
ha tauba tauba koi bachaye
koi bachaye aise ladako se
tauba tauba koi bachaye
koi bachaye aise ladako se
inke dil ka pench hain dhila
inke dil ka pench hain dhila, pagal jaisi lagti hain
pagal jaisi lagti hain
dekh ke ladko ki toli ko
are dekh ke ladko ki toli ko, jane kyu ye akadti hain
jane kyu ye akadti hain
ha ladne aur jhagadne se kab, fuirsat inko milti hain
ham jaise ladko ki fir bhi, chahat inko milti hain
ye dil dukhaye hardam sataye
har koi fir bhi apna banaye
tauba tauba koi bachaye
he he tauba tauba koi bachaye
koi bachaye in ladkiyo se
tauba tauba koi bachaye
koi bachaye in ladkiyo se
main shola hu main aag hu, main bhi jahrila nag hu
main andhi hu tufaan hain, main parvat hu chattan hu
tu kya janega shan meri, tu kya samjhegi aan meri
yu mast kayamat dhayega
yu mast kayamat dhayega, koi hamse jeet na payega
koi hamse jeet na payega
ungli pe ham to sabko nachaye
ungli pe ham to sabko nachaye, ye baat koi inko bataey