tauba tauba ye jalwe kaise koi na bahke
pure hi badan jaise roshni bhari hai
tu hai koi hur ya tu koi pari hai
tauba tauba ye jalwe kaise koi na bahke
pyar si murat bholi si surat phul ki jaisi ho pankhudi
tera badan hai ya hai koi ras ki ganga chhalak padi
gahri nashili gahri nili aankho me hai masti badi
hoth gulabi mushkaye to jhalke ek moti ki ladi
husn ki malika khwabo ki rani tere jaisa koi nahi
is dunia me lakho hasi hai lekin tere jaisa koi nahi
tauba tauba ye jalwe kaise koi na bahke
hay ye chand jaisa chehra aur kawal ki danthal gardan
morni si chaal hai teri hirni jaisi chanchal chitwan
tu jaha-jaha se guzre mehke wo raahe saari
rang-rang tu chhalke to mehke nigaahe saari
chand nagar me thandi hawaye pyar ki mai le aaunga
fir mai chand ki chandi or sone se mahal banaunga
taare tod ke launga aur sara mahal sajaunga
naram mulayam badal mai waha tere liye bichaunga
phulo se shabnam launga fir mai tuhje nahlaunga
aur us bhige husn ko jana aankho se pee jaunga
tauba tauba ye jalwe
tauba tauba ye jalwe kaise koi na bahke
pure hi badan jaise roshni bhari hai
tu hai koi hur ya tu koi pari hai
tauba tauba ye jalwe kaise koi na bahke
This is a dubbed version. Hats off to lyricist for writing such great lyrics for a dubbed song, which is very difficult task. I think he is P K Mishra.