gumnaam si hasi, bewajah mujhe mili
kya pata yeh dillagi waaste mere na thi
ho sake to ae haseen muskurahate meri
dena lauta sabhi, jo kabhi meri na thi
aashiqui ki raaho pe, begunaah nigaaho me
is kadar muhabbat hai, kya karu bayaan
rehmat zara kar khuda, na mila tera nishaan
rehmat zara kar khuda, na mila tera nishaan
befikar se chal diye, manzil juda si thi
tu mili hai is tarah, rehmat khuda ki thi
waqt aise guzra tha chand lamhaat me
aansu mera nikla tha subah ki namaaz me
tu jo mujhko chhuta tha, aahe jaise bharta tha
khushbu teri aati hai aaj bhi yaha
rehmat zara kar khuda, na mila tera nishaan
rehmat zara kar khuda, na mila tera nishaan
kyun teri nigaho me, gir gaye the hum kabhi
aaja sabko chhod ke, mere paas tu abhi
main to tera chehra hu, tera guzra waqt hu
uth khada hu aaj main, jaata hai kaha
rehmat zara kar khuda, na mila tera nishaan
rehmat zara kar khuda, na mila tera nishaan