tere dil ka dard, hamare aansu jaan gaye
tere dil ka dard, hamare aansu jaan gaye
begaane jo peer use, ab pehchaan gaye
tere dil ka dard, hamare aansu jaan gaye
pehle khushiyo ki, aisi hoti barsaat rahi
ek ek shab jaise ho, poonam ki raat rahi
geeto ki bauchharo ki, pal pal saugaat rahi
sach lagti thi jo angin sapno ki baat rahi
lekin sapne khwaab rahenge
lekin sapne khwaab rahenge
hum tum maan gaye
tere dil ka dard, hamare aansu jaan gaye
tere dil ka dard, hamare aansu jaan gaye
bagiya bagiya phool khile the, kaliya muskaai
sah sawan ke meet mile the, biti tanhaai
muskane chha gayi hazaar, bahare thi aayi
sukhi dharti ne nabh ki
bauchhare thi payi
lekin hum tum dono ab to
lekin hum tum dono ab to
ho anjaan gaye
tere dil ka dard, hamare aansu jaan gaye
tere dil ka dard, hamare aansu jaan gaye
tera dard hamare aansu
koi raah na paate
har din andhiyara khalta
tanha tanha ho jaate
yaado ke deepak jalte
jis mein til til jal jaate
aur zindagi ki bisaad mein
janam hawan kar jaate
jaane kahan hamare saare
jaane kahan hamare saare
ho armaan gaye
tere dil ka dard, hamare aansu jaan gaye
tere dil ka dard, hamare aansu jaan gaye
begaane jo peer use, ab pehchaan gaye